اردو हिंदी
Dhalak ke girne se ye dil mera Dara hua hai | Shaahi Shayari
Dhalak ke girne se ye dil mera Dara hua hai

Ghazal

Dhalak ke girne se ye dil mera Dara hua hai

Said Iqbal Saadi

;

Dhalak ke girne se ye dil mera Dara hua hai
chhalakte ashkon mein us ne mujhe rakha hua hai

ghamon ke sare parinde hi is pe aa baiThe
KHushi ki rut mein zara sa jo dil hara hua hai

nahin hain bolne wale jo chaar su apne
hamare kanon mein ye shor kyun bhara hua hai

mujhe milega wo tinka hi naKHuda ban kar
mere liye kisi tufan mein jo baha hua hai

bujha sake nahin tufan-e-sim-o-zar us ko
hawa ke ruKH pe charagh-e-ana jala hua hai

meri bhi pahli mohabbat thi sirf yak-tarfa
mere bhi sath hua sab se jo sada hua hai

tumhaare pyar ka qarza hai is qadar dil par
faqir-e-dil bhi to qiston mein hi ghira hua hai

hai sans sans mein KHushbu usi ki ab 'sadi'
wafa ka phul jo dil mein mere khila hua hai