Dhala na sang ke paikar mein yar kis ka tha 
wo ek aks chaTanon ke par kis ka tha 
zamin paDi rahi be-saz-o-barg kis ki thi 
kahin baras gaya abr-e-bahaar kis ka tha 
hawaen le uDin naqsh-e-kamal ka nairang 
na jaane KHak pe wo shahkar kis ka tha 
kahin pata na laga phir wajud ka mere 
uTha ke le gai duniya shikar kis ka tha 
nafas charagh siyah paniyon mein tha KHamosh 
KHabar nahin ki use intizar kis ka tha 
jo aarzu thi bani ek bojh aaKHir 'zeb' 
hamin uThae phire dil pe bar kis ka tha
        Ghazal
Dhala na sang ke paikar mein yar kis ka tha
Zeb Ghauri

