dhaDkanen mohabbat ki dil-nashin KHamoshi
marhaba ai hangamo aafrin KHamoshi
kaj-bayan Thikanon se dur ek KHarabe mein
ghar bana ke rahti hai ek zahin KHamoshi
sham hai ye wade ki ishq ke irade ki
ek jawan sa sannaTa ek hasin KHamoshi
samne jo aa jaun kaifiyat haya ki phir
Tank degi palkon par naznin KHamoshi
TuT kar jo bikhrunga dekh legi duniya phir
ek makan mohabbat ka aur makin KHamoshi
guftugu to tujh se thi ru-ba-ru main KHud se tha
ek falak sa hangama ek zamin KHamoshi
bewafa KHayalon se zaKHm ke hawalon se
kya sawal karti phir wo hasin KHamoshi
Ghazal
DhaDkanen mohabbat ki dil-nashin KHamoshi
Nazir Wahid