dhaDkanen ban ke jo sine mein raha karta tha
kya ajab shaKHs tha jo mujh mein jiya karta tha
naKHun-e-waqt ne har naqsh khurach Dala hai
mera chehra meri pahchan hua karta tha
kai honTon pe hama-waqt jami rahti thi
ek dariya meri aankhon mein thama karta tha
ek talatum tha tah-e-ab sukut-e-dariya
dil-e-KHamosh mein ek shor raha karta tha
murtaish hota tha jab KHama-e-angusht kabhi
kya kya qirtas-e-KHala par main likha karta tha
zehn-o-dil is liye sargarm-e-amal rahte the
rahnumai meri har waqt KHuda karta tha
aabla-paiyan karti thin agar dil-shikani
hausla phir rah-e-ummid ko wa karta tha
ho gaya nazr bil-aKHir meri haq-goi ki
ek sar jo kabhi shanon pe saja karta tha
kya hua aaj ai 'salim' wo shuur-e-baaligh
jo qalam-zad teri tahrir kiya karta tha
Ghazal
DhaDkanen ban ke jo sine mein raha karta tha
Salim Shuja Ansari