Dhaalta hun sher mein tanhaiyon ko
DhunDhta hun us mein phir parchhaiyon ko
khokhli aankhon se mujh ko ghurti hain
dekh kar Darta hun main pahnaiyon ko
wo burai sab se meri kar rahe hain
kyun nahin karte bayan achchhaiyon ko
shahr mein to qatl sab ka ho chuka hai
bhej do ab dasht mein balwaion ko
dil ki bhaTTi ye na hon to jal hi jae
roko mat tum ashk ki purwaiyon ko
de rahi hain ek se ek nazzara 'mamun'
koste ho kyun tum in tanhaiyon ko
Ghazal
Dhaalta hun sher mein tanhaiyon ko
Khaleel Mamoon