dew-qamat bana hua ghumun
apne qad ko magar chhupa na sakun
wo bhi pahchanta nahin hai mujhe
main bhi apni nazar ko jhuTla dun
haT gaya hun madar se apne
ab main yun hi KHala mein phirta hun
telewision pe ek chehra hai
kam se kam us ko dekh sakta hun
kab se sukhi paDi hai ye dharti
main kisi ke lahu ka pyasa hun
uDte phirte hain har jagah haTiyal
koi farhad hai na ab majnun
puchhti hain bhari-puri saDken
kaun hai jis ke sath main ghumun
Ghazal
Dew-qamat bana hua ghumun
Midhat-ul-Akhtar