der tak raat andhere mein jo main ne dekha
mujh se bichhDe hue ek shaKHs ka chehra ubhra
qasmen de de ke mere hathon ne mujh ko roka
main ne diwar se kal nam jab us ka khurcha
dekh kar us ko laga jaise kahin ho dekha
yaad bilkul nahin aaya mujhe ghanTon socha
mom-batti ko galata raha dhire dhire
raat andhere ka mere kamre mein bahta lawa
kitne maghmum ghazalon ka bharam rakhta hai
narm kapDe se tarasha hua kala burqa
qadr ab ho ki na ho zehn-e-rasa ki lekin
aa hi jata hai kabhi kaam ye khoTa sikka
sare din meri tarah jalta hai aur sham Dhale
har-bun-e-mu se lipaT jata hai mera saya
apne honTon pe saja leta hun main jhuTi hansi
apni palkon mein chhupa leta hun jalta dariya
man lo meri jo hai us pe qanaat kar lo
ab nahin utrega is duniya mein mann-o-salwa
Ghazal
Der tak raat andhere mein jo maine dekha
Aftab Shamsi