اردو हिंदी
Der se so kar uThne walo taDpo lekin shor na ho | Shaahi Shayari
der se so kar uThne walo taDpo lekin shor na ho

Ghazal

Der se so kar uThne walo taDpo lekin shor na ho

Mohsin Asrar

;

der se so kar uThne walo taDpo lekin shor na ho
tum ko haq hai aainon ko toDo lekin shor na ho

ham-sae ka sukh to us ke KHwab ka pura hona hai
tum par riqqat tari ho to ro lo lekin shor na ho

sham Dhale parwaz simaT kar shaKHon par aa jati hai
apni aankhen rahguzar mein rakkho lekin shor na ho

diwane bhi ahl-e-samaat ki KHidmat kar sakte hain
dil honTon par aa jae to bolo lekin shor na ho

'mohsin' kis ko fursat hai jo tesha le kar aae yahan
apne but ko apne hath se toDo lekin shor na ho