اردو हिंदी
Dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada | Shaahi Shayari
dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada

Ghazal

Dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada

Jafar Shirazi

;

dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada
shoala ki tah-e-ab nikharta hai ziyaada

kya jaaniye kya baat hai ab dasht ki nisbat
dil KHamushi-e-shahr se Darta hai ziyaada

andar ka wahi rog use bhi hai mujhe bhi
banta hai ziyaada wo sanwarta hai ziyaada

jo aankh ke jalte hue sahra se pare hai
baadal usi raste se guzarta hai ziyaada

ruKH shahr ki jaanib hua jangal ki hawa ka
aur shor mere dil mein ubharta hai ziyaada

'jafar' ye laga zaKHm-e-mohabbat bhi ajab hai
baDhta hai ziyaada jo na bharta hai ziyaada