dekhti aankhon ne dekha hai shabistanon mein
jazba marne ka abhi zinda hai parwanon mein
kitna pur-haul hai mahaul shab-e-furqat ka
KHun bhi KHushk hua jata hai shiryanon mein
kaam aaya na gala phaDta ai shaiKH tera
nazar aati hain wahi raunaqen mai-KHanon mein
sitam-e-taza pe yun shukr-e-sitam karta hun
jaise ek aur izafa hua ehsanon mein
ai 'wafa' ahl-e-zaban ki hai inayat ye bhi
ki shumar aaj hamara hai zaban-danon mein

Ghazal
Dekhti aankhon ne dekha hai shabistanon mein
Mela Ram Wafa