dekhte sajde mein aata hai jo karta hai nigah
tere abru ki hai mehrab magar baitullah
yak palak mein wo kare pis ke faujen surma
jis taraf ko phire zalim teri mizhgan ki sipah
bait-bahsi na kar ai faKHta gulshan mein ki aaj
misra-e-sarw se mauzun hai mera misra-e-ah
kishwar-e-ishq ki shahi hai magar majnun ko
ki zamin taKHt hai sar par hai bagule ki kulah
kyunkar in kali balaon se bachega aashiq
KHat siyah KHal siyah zulf siyah chashm siyah
chahta hai shab-e-zulfan ki teri umr daraaz
ki mere ishq ka howe nahin qissa kotah
kya kahe kyunki kahe tujh se ye 'hatim' gham-e-dil
ki wo hai sharm se mahjub o tu hai be-parwah
Ghazal
Dekhte sajde mein aata hai jo karta hai nigah
Shaikh Zahuruddin Hatim