dekhte hain na Thahar jate hain
log raste se guzar jate hain
kitne dariya hain magar aaKHir mein
ek samundar mein utar jate hain
dekhne kaun hamein aata hai
DhunDne kis ko idhar jate hain
dil ki wahshat bhi ajab wahshat hai
sath rahti hai jidhar jate hain
manzilen gard mein kho jati hain
raste dhup se bhar jate hain
din nikalta hai kahan se 'siman'
sham ke sae kidhar jate hain
Ghazal
Dekhte hain na Thahar jate hain
Seeman Naved