dekhta tha main palaT kar har aan 
kis sada ka tha na jaane imkan 
us ki ek baat ko tanha mat kar 
wo ki hai rabt-e-nawa mein gunjaan 
TuTi bikhri koi shai thi aisi 
jis ne qaem ki hamari pahchan 
log manzil pe the hum se pahle 
tha koi rasta shayad aasan 
sab se kamzor akele hum the 
hum pe the shahr ke sare bohtan 
os se pyas kahan bujhti hai 
musla-dhaar baras meri jaan 
kya ajab shahr-e-ghazal hai 'bani' 
lafz shaitan suKHan be-iman
        Ghazal
Dekhta tha main palaT kar har aan
Rajinder Manchanda Bani

