dekhta hun phul aur kanTe ba-har-su aaj bhi
yaad karta hun teri KHushbu teri KHu aaj bhi
jaane kyun jalti sulagti sham ke aiwan mein
phail jati hai teri baaton ki KHushbu aaj bhi
zist ke KHasta shikasta gumbadon mein gah-gah
gunjta hai teri aawazon ka jadu aaj bhi
zulf kab ki aatish-e-ayyam se kumhla gai
zulf ka saya nahin Dhalta sar-e-mu aaj bhi
tu ne pane hath mein jis par likha tha mera nam
wo sanobar lahlahata hai lab-e-ju aaj bhi
wo tera pal-bhar ko milna phir bichhaDne ke liye
dil ki muTThi mein hai is lamhe ka jugnu aaj bhi
muddaten guzrin magar ai dost tere nam par
Dol jati hai mere dil ki taraazu aaj bhi

Ghazal
Dekhta hun phul aur kanTe ba-har-su aaj bhi
Khursheed Rizvi