اردو हिंदी
Dekho to jaan tum kun manate hain kab seti | Shaahi Shayari
dekho to jaan tum kun manate hain kab seti

Ghazal

Dekho to jaan tum kun manate hain kab seti

Abroo Shah Mubarak

;

dekho to jaan tum kun manate hain kab seti
bolo KHuda ke waste Tuk lal lab seti

mukhDa tera hai jaan ye achraj tera ka chand
rozana aur KHub jhalakta hai shab seti

zulfan kun kah ki dil kun karen aap mein sin dur
ye pech-o-tab un kun hai us ke tab seti

dast-e-salam sar ke upar naqsh-e-pa hai ab
har-chand KHak-e-rah hua hun adab seti

pani mein Dub aag mein jal kar maro pe ek
aashiq na ho pukar ke kahta hun sab seti

harjaiyo har ek sin lalach nahin hai KHub
hai bhik mang khana bhala is kasab seti

bandha hai barg-e-tak ka kyun sar pe sehra
kiya 'abru' ka byah hai bint-ul-enab seti