dekhna wo girya-e-hasrat-maal aa hi gaya
bekasi mein koi to pursan-e-haal aa hi gaya
jurat-e-arz-e-tamanna ka sabab wo KHud hue
mehrban dekha unhen lab par sawal aa hi gaya
dil ko hum kab tak bachae rakhte har aaseb se
Thes aaKHir lag gai shishe mein baal aa hi gaya
bewafai se wafa ka dete wo kab tak jawab
dil hi to hai rafta rafta infial aa hi gaya
KHud-faramoshi ki lazzat na-mukammal rah gai
bawajud-e-be-KHudi tera KHayal aa hi gaya
ek muddat se nahin milta tha 'wahshat' ka pata
le tere kuche mein wo aashufta-haal aa hi gaya
Ghazal
Dekhna wo girya-e-hasrat-maal aa hi gaya
Wahshat Raza Ali Kalkatvi