dekhna hai kab zamin ko KHali kar jata hai din
is qadar aata nahin hai jis qadar jata hai din
muntashir chaliye ki yun bazar bhar jata to hai
mushtahar kije ki phir achchha guzar jata hai din
jab zara radd-o-badal hota hai is tamir mein
bahar aa jati hai raat andar utar jata hai din
din ki apni mustaqil koi nahin tariKH-e-dard
zaKHm par jata tha aur ab dagh par jata hai din
achchhi gunjaish nikal aati hai sham aur shor ki
jab khanakte KHali insanon se bhar jata hai din
jate jate chhoD jata hai mere dil par lakir
do andheron mein mujhe taqsim kar jata hai din
Ghazal
Dekhna hai kab zamin ko Khaali kar jata hai din
Shaheen Abbas