dekhna bhi to unhen dur se dekha karna
shewa-e-ishq nahin husn ko ruswa karna
ek nazar bhi teri kafi thi pa-e-rahat-e-jaan
kuchh bhi dushwar na tha mujh ko shakeba karna
un ko yan wade pe aa lene de ai abr-e-bahaar
jis qadar chahna phir baad mein barsa karna
sham ho ya ki sahar yaad unhin ki rakhni
din ho ya raat hamein zikr unhin ka karna
saum zahid ko mubarak rahe aabid ko salat
aasiyon ko teri rahmat pe bharosa karna
aashiqo husn-e-jafakar ka shikwa hai gunah
tum KHabardar KHabardar na aisa karna
kuchh samajh mein nahin aata ki ye kya hai 'hasrat'
un se mil kar bhi na izhaar-e-tamanna karna
Ghazal
Dekhna bhi to unhen dur se dekha karna
Hasrat Mohani