اردو हिंदी
Dekhiyo uski zara aankh dikhane ka maza | Shaahi Shayari
dekhiyo uski zara aankh dikhane ka maza

Ghazal

Dekhiyo uski zara aankh dikhane ka maza

Jurat Qalandar Bakhsh

;

dekhiyo us ki zara aankh dikhane ka maza
chitwanon mein hai bhara sare zamane ka maza

kis maze se hai ayan duzdi-e-dil hai zalim
lun chara kyunki tere aankh churane ka maza

lazzat-e-wasl koi puchhe to pi jata hun
kah ke honTon hi mein honTon ke milane ka maza

kya tere mai-kash-e-ulfat ka ye kaifiyyat hai
dard-e-dil kar ke bayan rone rulane ka maza

dast-bar-dil ho uThata hun ajab lazzat-e-dard
yaad kar hijr mein wo hath baDhane ka maza

jo KHamoshi mein hai lazzat nahin goyai mein
be-KHudi sa hai kahan aap mein aane ka maza

us ke laDne ke bhi sadqe ki nazar aata hai
ain ranjish mein ajab aankh laDane ka maza

KHwab-o-KHur se tere bimar ko kya kaam ki hai
lazzat-e-KHwab na kuchh is ko na khane ka maza

yaad aata hai to jata hun KHuda jaane kahan
wo lagawaT ki nigahon mein bulane ka maza

kya kahun wasl ki shab le ke balaen us ki
kya uThata hun main zanu pe biThane ka maza

main to phir aap mein rahta nahin dil se puchho
aage phir bhench ke chhati se lagane ka maza

dar pe us parda-nashin ke ho to ba-saut-e-buland
sher us waqt hai 'jurat' se paDhane ka maza