اردو हिंदी
Dekhiye ho gai badnam masihai bhi | Shaahi Shayari
dekhiye ho gai badnam masihai bhi

Ghazal

Dekhiye ho gai badnam masihai bhi

Qamar Jalalvi

;

dekhiye ho gai badnam masihai bhi
hum na kahte the ki Talti hai kahin aai bhi

husn KHuddar ho to bais-e-shohrat hai zarur
lekin in baaton mein ho jati hai ruswai bhi

sainkaDon ranj o alam dard o musibat shab-e-gham
kitni hangama-talab hai meri tanhai bhi

tum bhi diwane ke kahne ka bura man gae
hosh ki baat kahin karte hain saudai bhi

baal o par dekh to lo apne asiran-e-qafas
kya karoge jo gulistan mein bahaar aai bhi

panw wahshat mein kahin rukte hain diwanon ke
toD Dalenge ye zanjir jo pahnai bhi

ai mere dekhne wale teri surat pe nisar
kash hoti teri taswir mein goyai bhi

ai 'qamar' wo na hui dekhiye taqdir ki baat
chandni raat jo qismat se kabhi aai bhi