اردو हिंदी
Dekhiye ahl-e-mohabbat hamein kya dete hain | Shaahi Shayari
dekhiye ahl-e-mohabbat hamein kya dete hain

Ghazal

Dekhiye ahl-e-mohabbat hamein kya dete hain

Tabish Dehlvi

;

dekhiye ahl-e-mohabbat hamein kya dete hain
kucha-e-yar mein hum kab se sada dete hain

roz KHushbu teri late hain saba ke jhonke
ahl-e-gulshan meri wahshat ko hawa dete hain

manzil-e-shama tak aasan rasai ho jae
is liye KHak patangon ki uDa dete hain

su-e-sahra bhi zara ahl-e-KHirad ho aao
kuchh bahaaron ka pata aabla-pa dete hain

mujh ko ahbab ke altaf-o-karam ne mara
log ab zahr ke badle bhi dawa dete hain

sath chalta hai koi aur bhi su-e-manzil
mujh ko dhoka mere naqsh-e-kaf-e-pa dete hain

zindagi marg-e-musalsal hai magar ai 'tabish'
hae wo log jo jine ki dua dete hain