اردو हिंदी
Dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de | Shaahi Shayari
dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de

Ghazal

Dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de

Zafar Gorakhpuri

;

dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de
ek aadmi to shahr mein aisa dikhai de

ab bhik mangne ke tariqe badal gae
lazim nahin ki hath mein kasa dikhai de

neze pe rakh ke aur mera sar buland kar
duniya ko ek charagh to jalta dikhai de

dil mein tere KHayal ki banti hai ek dhanak
suraj sa aaine se guzarta dikhai de

chal zindagi ki jot jagae ajab nahin
lashon ke darmiyan koi rasta dikhai de

kya kam hai ki wajud ke sannaTe mein 'zafar'
ek dard ki sada hai ki zinda dikhai de