اردو हिंदी
Dekhen aaine ke manind sahen gham ki tarah | Shaahi Shayari
dekhen aaine ke manind sahen gham ki tarah

Ghazal

Dekhen aaine ke manind sahen gham ki tarah

Zia Jalandhari

;

dekhen aaine ke manind sahen gham ki tarah
hum ki hain bazm-e-gul-o-lala mein shabnam ki tarah

waqt be-mehr hai is fursat-e-kamyab mein tum
meri aankhon mein raho KHwab-e-mujassam ki tarah

arsa-e-umr mein kya kya na ruten aain magar
koi Thahri na yahan dard ke mausam ki tarah

kis tarah us se kahun zaKHm bhi hain us ki ata
hath jis ka mere sine pe hai marham ki tarah

main ne chaha tha ki ek jast mein pahunchun lekin
rah mein sang the albatta o taham ki tarah

tera ehsan hai ki shadab raha kunj-e-KHayal
dil-e-pur-KHun ki tarah dida-e-pur-nam ki tarah

us ki guftar ne chhoDa na kahin ka hum ko
zaiqa shahd sa tha aur asar sam ki tarah

log taslim se taKHrib tak aa pahunche hain
Dalne nikle hain ek aur hi aalam ki tarah

sai-e-izhaar 'ziya' kanch ke TuTe hue lafz
aarzuen hain kisi mahfil-e-barham ki tarah