اردو हिंदी
Dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi | Shaahi Shayari
dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi

Ghazal

Dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi

Aftab Hussain

;

dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi
us fitna-KHu se pyar bhi hai aur jang bhi

dil hi nahin hai us ke tasawwur mein shad-kaam
ek sarKHushi mein jhumta hai ang ang bhi

kuchh rabt-e-KHas asl ka zahir ke sath hai
KHushbu uDe to uDta hai phulon ka rang bhi

aisa nahin ki aaTh pahar be-dili rahe
bajte hain gham-kade mein kabhi jal-tarang bhi

dekha hai aaj us ne mujhe muD ke 'aftab'
is waqiye pe KHush bhi hun main aur dang bhi