dekha use dil-gir to dil-gir hua main
kis dard ka rishta tha ki zanjir hua main
jis KHak ka paiwand hue nauhagar-e-harf
us KHak ki tasir se iksir hua main
ai baad-o-tar-o-taza mujhe ghaur se paDh le
qirtas-e-pazirai pe tahrir hua main
kis hairat-e-aina ke naKHchir hain donon
taswir hua wo kabhi taswir hua main
sau bar jo andar se main TuTa hun to ek bar
bahar se nazar aaya ki tamir hua main
jo main ne kabhi nind mein dekha hi nahin tha
dukh ye hai ki us KHwab ki tabir hua main
kis hijr se guzra hun ki be-saKHta 'mohsin'
laila-e-tamanna se baghal-gir hua main
Ghazal
Dekha use dil-gir to dil-gir hua main
Mohsin Ehsan