اردو हिंदी
Dekha jo us taraf to badan par nazar gai | Shaahi Shayari
dekha jo us taraf to badan par nazar gai

Ghazal

Dekha jo us taraf to badan par nazar gai

Sarvat Husain

;

dekha jo us taraf to badan par nazar gai
ek aag thi jo mere piyale mein bhar gai

un raston mein nam-o-nasab ka nishan na tha
hangama-e-bahaar mein KHilqat jidhar gai

ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam
wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai

itna qarib pa ke use dam-ba-KHud tha main
aisa laga zamin ki gardish Thahar gai