dekha jo kuchh jahan mein koi dam ye sab nahin
Tuk aankh mundte hi tum aur hum ye sab nahin
thoDi si zist hai jo KHushi se nibhe to KHair
warna nishat-o-KHurrami-o-gham ye sab nahin
bagh-o-bahaar-o-josh gul-o-KHanda-e-subuh
saut-e-hazar-o-girya-e-shabnam ye sab nahin
duniya-o-din dida-e-dil sabr aur qarar
tu hi agar nahin to ek aalam ye sab nahin
kis kaam ke hain be-asari se agarche hain
aah-o-fughan-o-dida-e-pur-nam ye sab nahin
be-ishq jitni KHalq hai insan ki shakl mein
nazron mein ahl-e-did ke aadam ye sab nahin
zaKHm-e-nihan-e-hijr ko be-wasl ai 'muhib'
ho sud-mand baKHiya-o-marham ye sab nahin
Ghazal
Dekha jo kuchh jahan mein koi dam ye sab nahin
Waliullah Muhib