dekha hai aaj rah mein hum ek harir-posh
par yar kuchh na puchh ki kya chhab che-bar che-dosh
piTun hun kis ke gham mein sar o sina main ki aaj
ho hai ye shash-jihat se taqaza ki han ba-josh
sajda ho aastan-e-haram ka nasib-e-shaiKH
main aur sar-e-niyaz o dar-e-pir-e-mai-farosh
fariyaad tin suni na meri warna gul tamam
sunne ko nala murgh-e-chaman ka hua hai gosh
'qaem' hai kiya halahil o aab-e-KHizar pe hasr
aa jae bazm-e-dast mein jo kuchh so kije nosh
Ghazal
Dekha hai aaj rah mein hum ek harir-posh
Qayem Chandpuri