dekh us pari se kijiye kya ab to ja lagi
chhoTi hi koi baat hai phir ye bala lagi
us lab pe dekhte hi se wo pan ki dhaDi
sham-o-shafaq in aankhon mein kab KHushnuma lagi
ye dastaras kise ki kare us ko dast-bos
sau minnaton se panw mein us ke hina lagi
main kya kiya ki mujh ko nikale hai wo sanam
ai ahl-e-bazm koi to bolo KHuda lagi
goli thi ya KHadang thi zalim teri nigah
chhuTte hi dil ko toD kaleje mein aa lagi
kis tarah haal-e-dil kahun us gul se bagh mein
phirti hai us ke sath to har-dam saba lagi
is dard-e-dil ka puchhiye kis se ilaj ja
apni si kar chuke pa na koi dawa lagi
aaya jo mehrban ho sitamgar tu is taraf
kis waqt ki na jaaniye tujh ko dua lagi
itna to wo nahin hai ki 'bedar' dije dil
kya jaane pyari us ki tujhe kya ada lagi
Ghazal
Dekh us pari se kijiye kya ab to ja lagi
Meer Mohammadi Bedar