dekh tu yar-e-baada-kash! main ne bhi kaam kya kiya
de ke kabab-e-dil tujhe haqq-e-namak ada kiya
kyun sag-e-yar se KHajil mujh ko pas-az-fana kya
kha gaya ustuKHan mere tu ne ye kya huma kiya
zaKHm-e-jigar se dam-ba-dam kab nahin KHun-baha kiya
to bhi na qatil apne se dawa-e-KHun-baha kiya
us but-e-rashk-e-gul ne jab band-e-qaba ko wa kiya
apni nazar ye ghuncha do hath se phir mala kiya
kaun se din na yar ne chashm ko surma-sa kiya
kab na dil-e-siyah-baKHt KHak mein tu mila kiya
dilbar-e-shoala-KHu ne jab zulf ko ruKH pe wa kiya
dil pe main sura-e-duKHan karne ko dam paDha kiya
baada-kashi ko saqiya kis ki mujhe bata hubab
zor-e-bhanwar ke chaak par saghar-e-mai bana kiya
wasl ki raat ham-nashin kyunki kaTi na puchh kuchh
barsar-e-sulh mein raha tis pe bhi wo laDa kiya
pae-nigar se lipaT chor bani to aap ko hi
hath na kyun tere bandhin kaam ye kya hina kiya
dil ki judai ka kahun kis se main majra-e-gham
sail-e-sarishk-e-chashm-e-tar sham-o-sahar baha kiya
shakl-e-asa-e-musawi tha to wo gesu-e-daraaz
par use dast-e-shana ne de ke KHam aur duta kiya
zeb-e-sar-e-shahan kabhi tu ne na dekha tira-baKHt
baal-e-magas ne kab dila kar-e-par-e-huma kiya
tar-e-nafas ulajh gaya mere gulu mein aa ke jab
naKHun-e-tegh-e-yar ko main ne girah-kusha kiya
bosa-e-lab se ek din us ke hua na kaamyab
dilbar-e-bad-zaban ki main galiyan hi suna kiya
aa ke salasil ai junun kyun na qadam le baad-e-qais
is ka bhi hum ne silsila az-sar-e-nau bapa kiya
munh to na tha ye ghair ka us ko khilae barg-e-pan
par na mera jo bas chala KHun-e-jigar piya kiya
us ki shikastagi ka gham kyun na ho mujh ko saqiya
meri baghal mein aah yan shisha-e-dil raha kiya
tar-e-nafas juda kiya barbat-e-tan se mere aah
kaudak-e-mutrib aur kya tujh ko kahun baja kiya
koh ko khinchta jo tu kah-ruba to jaante
ek par-e-kah ko uTha naz kiya to kya kiya
kyun ho KHizr-e-rah-rawan KHak-nashini pe meri
jis ne ba-shakl-e-naqsh-e-pa mujh ko hai rahnuma kiya
shola-ruKHon ke ishq ne kunj-e-mazar mein bhi aah
sone diya na chain se main to sada jala kiya
mujh ko hai hijr-o-wasl ek is ki KHushi na us ka gham
kaisi musibaton ke din bar-e-KHuda bhara kiya
wasl hua to ye hua mar-e-siyah jaan kar
raat bhar apni zulf ke sae se wo Dara kiya
aur main muddaa-talab aish se na-umid ho
shola-e-shama ki tarah sar ko paDa dhuna kiya
mudrika-e-bashar hai kya pae jo us ki kunah ko
chaha jo us ne so kiya kaun kahe ki kya kiya
yani bana ke chashm ko surat-e-shisha-e-hubab
sahib-e-zarf tha jo dil jam-e-jahan-numa kiya
apni shararaton se wo baz na aaya ai 'nasir'
mujh ko rula ke abr san barq-e-namat hansa kiya
Ghazal
Dekh tu yar-e-baada-kash! maine bhi kaam kya kiya
Shah Naseer