dekh lo tum KHu-e-atish ai qamar shishe mein hai
aks dagh-e-mahr ka itna asar shishe mein hai
log kahte hain tere ruKHsar-e-taban dekh kar
shama hai fanus mein ya aab-e-zar shishe mein hai
raat din rahti hai niyyat baada-e-gul-rang mein
ye pari wo hai ki jo aaThon pahar shishe mein hai
saad-e-simin se tere us ko kya nisbat bhala
tauba tauba kab latafat is qadar shishe mein hai
hoti hai gharq-e-araq kyun tu siwae bu-e-gul
aur kya ai bulbul-e-shorida-sar shishe mein hai
mai-kada tera rahe aabaad KHum ki KHair ho
han pila de mujh ko saqi jis qadar shishe mein hai
KHak se meri bhala kya waqt ka ho imtiyaz
har ghaDi ban kar bagula muntashar shishe mein hai
ye guman hota hai aks-e-mahr-e-sahba dekh kar
dagh-e-ulfat ko liye KHun-e-jigar shishe mein hai
hazrat-e-waiz na aisa waqt hath aaega phir
sab hain be-KHud tum bhi pi lo kuchh agar shishe mein hai
khinch sake hargiz musawwir se na timsal-e-adam
dekh lo taswir-e-jaanan ta-kamar shishe mein hai
thoDi thoDi rah mein pi lenge gar kam hai to kya
dur hai mai-KHana ye zad-e-safar shishe mein hai
mai pila kar mujh se kahte hain wo ho kar be-hijab
chaDh gai aaankhon pe jab ainak nazar shishe mein hai
kyun na zor-e-taba sab ahbab dikhlaen 'habib'
imtihan-e-husn nazm-e-yak-digar shishe mein hai
Ghazal
Dekh lo tum KHu-e-atish ai qamar shishe mein hai
Habeeb Musvi