dekh lo rang gar mere til ke
bhul jaoge rang jhilmil ke
ek ghazal kya suna di mahfil mein
ba-KHuda rah gae sabhi hil ke
tu muqallid tha aql walon ka
tu na samjha muamle dil ke
koi maqsad nahin hai milne ka
achchha lagta hai aap se mil ke
gul-badan kab tu un ko toDega
phul thakne lage hain khil khil ke
zaKHm kab is qadar numayan the
jis qadar ho gae hain sil sil ke
Ghazal
Dekh lo rang gar mere til ke
Sarwat Mukhtar