dekh lete hain ab us baam ko aate jate
ye bhi aazar chala jaega jate jate
dil ke sab naqsh the hathon ki lakiron jaise
naqsh-e-pa hote to mumkin tha miTate jate
thi kabhi rah jo ham-rah guzarne wali
ab hazar hota hai us rah se aate jate
shahr-e-be-mehr! kabhi hum ko bhi mohlat deta
ek diya hum bhi kisi ruKH se jalate jate
para-e-abr-e-gurezan the ki mausam apne
dur bhi rahte magar pas bhi aate jate
har ghaDi ek juda gham hai judai us ki
gham ki miad bhi wo le gaya jate jate
us ke kuche mein bhi ho, rah se be-rah 'nasir'
itne aae the to aawaz lagate jate
Ghazal
Dekh lete hain ab us baam ko aate jate
Naseer Turabi