dekh kar meri ana kis darja hairani mein hai
us ne samjha tha ki sab kuchh bab-e-imkani mein hai
mujh ko gham de de ke KHush tha wo magar ye kya hua
waqt ke hathon wahi gham ki farawani mein hai
kis ko kis ko KHush rakhe wo kis se jhagDa mol le
faisla hai us ke hathon mein to hairani mein hai
har ghaDi ab hasraton ki lash deti hai dhuan
ek ajab shamshan mere dil ki virani mein hai
main bhi tanha is taraf hun wo bhi tanha us taraf
main pareshan hun to hun wo bhi pareshani mein hai
barf bhi simab bhi sahil bhi hai girdab bhi
ye tazad-e-KHasiyat ek shakl-e-insani mein hai
Ghazal
Dekh kar meri ana kis darja hairani mein hai
Abdussamad ’Tapish’