dekh kar kurti gale mein sabz dhani aap ki
dhan ke bhi khet ne ab aan mani aap ki
kya tajjub hai agar dekhe to murda ji uThe
chain nefe ki Dhalak peDu pe aani aap ki
hum to kya hain dil farishte ka bhi kafir chhin le
Tuk jhalak dikhla ke phir angiya chhupani aap ki
aa paDe do sau baras ke murda-be-e-jaan mein jaan
jis ke upar do ghaDi ho mehrbani aap ki
chhalle ghairon pas to wo KHatam-e-zar ai nigar
hai hamare pas bhi ab tak nishani aap ki
waqt to jata raha par baat baqi rah gai
hai ye jhuTi dosti ab hum ne jaani aap ki
kya ajab surat raqib-e-ru-siyah ki dekh kar
KHauf se haalat hui ho pani pani aap ki
ek aalam kohkan ki tarah sar phoDega ab
gar isi surat rahi shirin-zabani aap ki
kya hamein lagti hai pyari jab wo kahti hai 'nazir'
hai miyan kuchh in dinon na-mehrbani aap ki
Ghazal
Dekh kar kurti gale mein sabz dhani aap ki
Nazeer Akbarabadi