اردو हिंदी
Dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe | Shaahi Shayari
dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe

Ghazal

Dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe

Ehtisham Husain

;

dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe
dur se takti rahi gardish-e-ayyam mujhe

Dal kar ek nazar pyar ki meri jaanib
dost ne kar hi liya banda-e-be-dam mujhe

kal sunenge wahi muzhda meri aazadi ka
aaj jo dekh ke hanste hain tah-e-dam mujhe

dekh leta hun andhere mein ujale ki kiran
zulmat-e-shab ne diya subh ka paigham mujhe

na to jine hi mein lazzat hai na marne ki umang
un nigahon ne diya kaun sa paigham mujhe

main samajhta hun mujhe daulat-e-kaunain mili
kaun kahta hai ki wo kar gae badnam mujhe

garche aaghaz-e-mohabbat ne diye hain dhoke
liye jati hai kahin kawish-e-anjam mujhe

tera hi ho ke jo rah jaun to phir kya hoga
ai junun aur hain duniya mein bahut kaam mujhe