dekh darwaze se mujh ko wo pari-ru haT gai
dekhte hi us ke meri jaan bas chaT-paT gai
tum udhar dhote rahe munh hum idhar rote rahe
rote-dhote do ghaDi bare maze se kaT gai
gard-e-kulfat bas-ki chhai dil se ta aaankhon talak
nahr thi jari jo aaankhon ki mere so paT gai
ji ada ne zulf ne dil hosh ghamzon ne liya
jins-e-hasti apni sab ghaarat mein aa kar baT gai
parde hi parde mein dil ko KHak kar Dala mere
is ada se wo pari munh par liye ghunghaT gai
zulf gar chhidri hui tere to mat kha pech-o-tab
kya hua az-bas uThae bojh dil ke luT gai
kal jo mera KHush-nigah guzra chaman se ai 'hasan'
mund li baadam ne aankh aur nargis kaT gai
Ghazal
Dekh darwaze se mujhko wo pari-ru haT gai
Meer Hasan