de kar pichhli yaadon ka ambar mujhe
phenk diya hai sat samundar par mujhe
har manzar ke andar bhi ek manzar hai
dekhne wala bhi to ho tayyar mujhe
teri kami gar mujh se puri hoti hai
le aaenge log sar-e-bazar mujhe
sari chizen ghair-munasib lagti hain
hath mein de di jae ek talwar mujhe
inTen jaane kab harkat mein aa jaen
jaane kis din chun le ye diwar mujhe
ek musalsal choT si lagti rahti hai
samna KHud apna hai har har bar mujhe
Ghazal
De kar pichhli yaadon ka ambar mujhe
Atiiqullah