dayar-e-dil se kisi ka guzar zaruri tha
ujaD raste pe koi shajar zaruri tha
zara si der mein bujhne ko tha magar us dam
diye ko chalti hawa ka samar zaruri tha
agar na hote ye duniya isi tarah chalti
hamara hona jahan mein magar zaruri tha
nazar mein sher sajate ghazal samaat mein
suKHan ke shahr mein aisa nagar zaruri tha
hamare dil mein rahi hai bas ek hi KHwahish
dayar-e-yar mein apna bhi ghar zaruri tha
chhalak rahi hain mere rome rome se KHushiyan
tumhaari bazm ka kuchh to asar zaruri tha

Ghazal
Dayar-e-dil se kisi ka guzar zaruri tha
Saim Ji