dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi
aman ki koi jagah zer-e-asman na rahi
rawan hain aaj bhi rag rag mein KHun ki maujen
magar wo ek KHalish wo mata-e-jaan na rahi
laDen ghamon ke andheron se kis ki KHatir hum
koi kiran bhi to is dil mein zau-fishan na rahi
main us ko dekh ke aankhon ka nur kho baiTha
ye zindagi meri aankhon se kyun nihan na rahi
zaban mili bhi to kis waqt be-zabanon ko
sunane ke liye jab koi dastan na rahi
Ghazal
Dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi
Shahryar