dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab kya deta
wo meri aankhon ko rangin KHwab kya deta
thi meri aankhon ki qismat mein tishnagi likkhi
wo apni did ki mujh ko sharab kya deta
kiya sawal jo main ne wafa ke qatil se
zaban pe qufl laga tha jawab kya deta
main chahta tha ki us ko gulab pesh karun
wo KHud gulab tha us ko gulab kya deta
wo jis ne dekha nahin ishq ka kabhi maktab
main us ke hath mein dil ki kitab kya deta
mere nasib mein miTTi ka ek diya bhi na tha
teri hatheli pe main aaftab kya deta
main us se pyas ka shikwa na kar saka 'afzal'
jo KHud hi tishna tha wo mujh ko aab kya deta
Ghazal
Dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab kya deta
Afzal Allahabadi