daur-e-hazir ho gaya hai is qadar kam-ashna
aashna hamdam hai koi ab na hamdam-ashna
aah kis manzil pe pahunchi hain meri tanhaiyan
DhunDne se bhi nahin milta mujhe gham-ashna
muKHtasar ye hai mere qalb o nazar ki dastan
aashna-e-dard-e-dil hai aankh hai nam-ashna
allah allah ye faza-e-dushman-e-mehr-o-wafa
aashna ke nam se hota hai barham aashna
umr bhar 'anwar' rahunga aarzu ka sogwar
marg-e-arman par azal se hun main matam-ashna

Ghazal
Daur-e-hazir ho gaya hai is qadar kam-ashna
Anwar Sabri