اردو हिंदी
Dast-e-shabnam pe dam-e-shoala-nawai na rakho | Shaahi Shayari
dast-e-shabnam pe dam-e-shoala-nawai na rakho

Ghazal

Dast-e-shabnam pe dam-e-shoala-nawai na rakho

Samad Ansari

;

dast-e-shabnam pe dam-e-shoala-nawai na rakho
subh ki god mein shab bhar ki kamai na rakho

meri yaadon ke sanam KHanon se uThne do dhuan
mere sine pe abhi dast-e-hinai na rakho

jag jae na kahin husn ka sota pindar
dida-e-shauq mein andaz-e-gadai na rakho

shab ko rahne do yun hi sham-o-sahar ka paiwand
Dar ke zulmat se buniyaad-e-judai na rakho

husn bhi apne taqazon se hai aaKHir majbur
husn ke dosh pe ilzam-e-KHudai na rakho

phir kisi taur sameTo ye bikharte hue rang
yun pareshan tasawwur ki ikai na rakho

apne wijdan se bhi kaam nikalo koi
rahbar hi ke liye rah-numai na rakho

apne zaKHmon ko chhupao kisi unwan 'samad'
rahguzaron mein gham-e-abla pai na rakho