dast-e-imkan mein koi phul khilaya jae
KHema-e-KHwab mein tabir ko laya jae
aao chalte hain kisi aur hi duniya mein jahan
KHud ko gham kar ke kisi aur ko paya jae
dil mein wahshat jo nahin dasht-nawardi kaisi
be-KHudi chhoD ke ab hosh mein aaya jae
jis ka har gosha sisakta hai sada deta hai
is ilaqe mein kabhi lauT ke jaya jae
ek muddat se tamanna bhi thi masruf-e-riyaz
naghma-e-qalb ko ab saz pe gaya jae
Ghazal
Dast-e-imkan mein koi phul khilaya jae
Rashid Anwar Rashid