dast-e-hunar jhaTakte hi zaea hunar gaya
chaaragari nahin rahi jab chaara-gar gaya
hasti se mil gaya mujhe kuchh nisti ka fahm
sahra wahan mila jahan dariya utar gaya
kya ho sake hisab ki jab aagahi kahe
ab tak to raegani mein sara safar gaya
wo ek jazba jis ne jamal-ashna kiya
manzar haTa to jism ke andar hi mar gaya
shayad sar-e-hayat mujhe aa mile kabhi
ek shaKHs mere jaisa na jaane kidhar gaya
Ghazal
Dast-e-hunar jhaTakte hi zaea hunar gaya
Qasim Yaqub