dast-bardar hua main bhi talabgari se
ab kahin ja ke ifaqa hua bimari se
KHak mein KHud ko milaya to jaDen pai hain
kaise rokega koi mujh ko numudari se
TuT hi jate hain iKHlas ke putle aaKHir
so mujhe bach ke nikalna hai adakari se
ab bhi kuchh chizen hain bazar mein jo aai nahin
ab bhi munkir hai koi meri KHaridari se
hum akahre kabhi bar-waqt samajh pate nahin
kaam kar jata hai chup-chap wo tahdari se
dil-e-nadan ulaT deta hai akasr ye bisat
aql yun chaal bahut chalti hai ayyari se
jab achanak hi har ek faisla hona hai yahan
mujh ko bhi koi ilaqa nahin tayyari se
saKHt-jaani ke mile kitne hi eazaz mujhe
aur milta bhi kya ummid ki be-zari se
jalta upar se hun andar se nikharta hun 'suhail'
KHud ko yun aag lagata hun main fankari se

Ghazal
Dast-bardar hua main bhi talabgari se
Suhail Akhtar