dasht-paimai ka gar qasd mukarrar hoga
har sar-e-KHar pae-abla nashtar hoga
mai-kade se tera diwana jo bahar hoga
ek mein shisha aur ek hath mein saghar hoga
halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahta hai qalam
bas ki markaz se qadam apna na bahar hoga
dil na dena kabhi in sang-dilon ko yaro
chur howega jo shisha tah-e-patthar hoga
dekh leta wo agar ruKH ki tajalli tere
aaina KHana-e-mayusi mein shashdar hoga
chaak kar Dalunga daman-e-kafan wahshat se
aastin se na mera hath jo bahar hoga
ai 'rasa' jaisa hai bargashta zamana hum se
aisa bargashta kisi ka na muqaddar hoga
Ghazal
Dasht-paimai ka gar qasd mukarrar hoga
Bhartendu Harishchandra