dasht mein ye jaan-fazan manzar kahan se aa gae 
is bayaban mein chamakte ghar kahan se aa gae 
qarya-e-jaan mein jhulasti dhup thi chaaron taraf 
saya le kar abr ke lashkar kahan se aa gae 
wadi-e-taKHil to be-rang thi ek umar se 
gum-shuda yaadon ke ye paikar kahan se aa gae 
Dhah chuki thin jab tamannaen sabhi khanDaraat mein 
shahr-e-dil mein phir ye baam-o-dar kahan se aa gae 
kis ne baKHshi hai inhen phir se uDanon ki sakat 
hauslon ko phir se baal-o-par kahan se aa gae 
kal talak chhaya hua tha matam-e-be-chehragi 
aaj nezon par achanak sar kahan se aa gae 
dushmanon mein the to hum par phul ki barish hui 
doston mein hain to ye patthar kahan se aa gae 
kha gaya tha jab samundar sipiyan sari 'KHumar' 
phir tumhaare hath ye gauhar kahan se aa gae
        Ghazal
Dasht mein ye jaan-fazan manzar kahan se aa gae
Suleman Khumar

