dasht mein qais nahin koh pe farhad nahin
hai wahi ishq ki duniya magar aabaad nahin
DhunDhne ko tujhe o mere na milne wale
wo chala hai jise apna bhi pata yaad nahin
ruh-e-bulbul ne KHizan ban ke ujaDa gulshan
phul kahte rahe hum phul hain sayyaad nahin
husn se chuk hui is ki hai tariKH gawah
ishq se bhul hui hai ye mujhe yaad nahin
barbat-e-mah pe mizrab-e-fughan rakh di thi
main ne ek naghma sunaya tha tumhein yaad nahin
lao ek sajda karun aalam-e-madhoshi mein
log kahte hain ki 'saghar' ko KHuda yaad nahin
Ghazal
Dasht mein qais nahin koh pe farhad nahin
Saghar Nizami