dasht ki dhup bhar gaya mujh mein
mera saya bikhar gaya mujh mein
nam ho chahe aks ho tera
ek jazira ubhar gaya mujh mein
paDh saka jo waraq waraq na mujhe
wo mukammal utar gaya mujh mein
us ko guzre guzar gain sadiyan
ek lamha Thahar gaya mujh mein
kis ko DhunDun kahan kahan DhunDun
KHushbuen kaun bhar gaya mujh mein
qaid-e-tanhai se nikale wahi
jo mujhe qaid kar gaya mujh mein
kis ka matam kare 'salim' koi
ajnabi tha jo mar gaya mujh mein

Ghazal
Dasht ki dhup bhar gaya mujh mein
Saleem Muhiuddin